

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
"Chhorh Kar Sajdon Ko Tauheen-E-Muharram Na Karo;
Bay-Namazi Ho Tau Shabbeer (A.S) Ka Maatam Na Karo."
"Ghalib, Mai-Nosh Honay Par Gar Jannat Na Ja Sakoon,
Hasrat Yehi Hai Kay Baad-E-Marg Kuch Kaam Aa Sakoon;
Eendhan Bana Dey Mujh Ko Jahannum Ka, Aye Khuda,
Har Dushman-E-Ali (A.S) Ka Kalaija Jala Sakoon."
Is Raaz Se Waqif Hain Zamane Wale
Ab Tak Zinda Hain Muhammad Ke Gharany Wale
Kuch Mit Gaye Kuch Mit Jayen Ge
Ya Hussain Tera Naam Mitane Wale
Tum Apnay Ghar Mei Aza Khana Jab Sajaooo Gaay
Jaza Rasool(S.A.W.W) Se Is Ki Zaroor Paoo Gaay ,
Khuda B Razi Rahay Ga . Ali(A.S) Bhi Or Mei Bhi
Ghum Apna Bhool K Ashuor Jab Manao Gaay.
(Hazrat Bibi Fatima Zehra(S.A)
Jagah Jagah Pe Main Karke Hussain Ka Matam,
Musafirat Ko Bhi Apna Watan Bana Lunga,
Farishte Nauha Padhenge Karunga Main Matam,
Lahad Me Jaa Ke Bhi Ek Anjuman Bana Lunga.
Hum 'Ali' Walay Hain. Sun Lain Yeh Zamaney Walay
Raakh Ho Jayain Gay Khud Hum Ko Mitaney Walay,
Ya Ali Keh K Guzar Jatay Hain Tufano Se
Parcham-E-Hazrat-E-Abbas(As) Uthany Walay.
Dil E Batool S.A Ki Taskeen Hai Azadari,
Ye Tum Se Kis Ne Kaha Toheen Hai Azadari?.
Zamany Bhar Ko Sikha Gai Zainab S.A.
Hamari Rasm Nahi Deen Hai Azadari..
Aaj Bhi Silsala - E - Karbobala Jari Hai.
Ishq E Shabir Ka Izhar Azadari Hai.
Yehi Fesla Haye Meezan E Azal Ka Azadar.
Har Ibadat Pe Hubb E Ali A.S Bhari Hai...
Sab Se Juda Hy Sheh K Azadar Ki Mehek !
Aa Kar Meri Lehed Me Farishton Ne Ye Kaha !
Kaabay Me Jese Haidar-E-Karrar Ki Mehek !
Aisi Basi Alam Me Alamdar Ki Mehek !
" Kehtin Hain Zehra Sani Mjhe Yun Na Satao,
Yun Majlisay Shabeer Main Bunthan K Na Aao,
Auro Nay Sataya Hay Mjhe Tum Na Satao,
Shabeer K Matam Ko Tamasha Na Banao "
Mujh Ko Behlol Sa Dewana Bana De Ya Rab
Kull E Emaan Ka Mastana Bana De Ya Rab
Har Jaga Matam E Shabir A.S Ki Goonjay Awaz
Sari Duniya Ko Aza Khana Bana De Ya Rab.
(Ellahi Aameen)
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-E-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-E-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-O-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
Ali A.S K Ishq Ma Aisa Kalaam Kar Donga,
Jo Kharab Ho Tabiyat Bahal Kar Donga,
Laga K Nara-E-Haider A.S Har Ek Basti Ma,
Munafiqo Ka Jeena Haram Kar Donga.
Daagh E Matam Jo Seenay Se Laga Rakkha Hai
Dil Ko Mola Ka Aza Khana Bana Rakkha Hai
Mushkilo Soch K Aana Mere Ghar Ki Jaanib
Meine Ghazi(As) Ka Alam Ghar Pe Laga Rakkha Hai
Mola Ka Malangaan Ki Taqdeer Hay Jannat!!!!
Or Un K Malango Ki Bhi Jageer Hay Jannat!!!!
Jannat Jissay Chaye Maangay Dua Wo!!!!
Apne Liey To Majlis-E-Shabeer(As) Hay Jannat!!!!
“Apni Taqdeer Jagatay Hen Tere Matam Se
Khüd Ki Raah Pe Jatey Hen Terey Matam Se
Apne Izhär-E-Aqeedat Ka Saleeqa Ye Hai
Hum Naya Saal Manatey Hen Teray Matam Se.”
“Ghulam-E-Faateh E Badr-O-Hunain Likh Dena
Ya Sogwar Shah-E-Mashraqain (A.S) Likh Dena
Agar Koi B Wasiyat Na Meri Yad Rahey,
Merey Kafan Pey Faqt Ya Hussain (A.S) Likh Dena.”
“Ahmad (S.A.W.W.A) Ke Nawason Se Jisay Pyar Nahin Hai,
Ahmad (S.A.W.W.A) Ki Shifa’at Ka Wo Haqdar Nahin Hai;
Is Wastay Kehtay Hain Jahanum Ko Jahanum,
Suntay Hain Wahan Koi Azadaar Nahin Hai.”
“Zikr E Shabbir (A.S) Dhamakon Se Dabane Walay,
Kitne Naadaan Hain Hum Ko Daranay Walay;
Ghaib Se Aati Hai Ab Bhi Ye Sada-E-Mehdi (A.S):
Zikr E Shabbir (A.S) Karo, Hum Hain Bachanay Walay.”
“Barhti Hai Bar’hami Si Zara Noor-E-Ain Mein,
Milta Hai Iztarab Younhi Dil Ke Chain Mein;
Selaab Dekhta Hun Tau Ata Hai Ye Khaiyal,
Paani Bhatak Raha Ho Talash-E-Hussain (A.S) Mein.”
“Be Khof Ho Rahi Hai Azadari E Hussain (A.S),
Dil Ko Sukoon Hai Ke Alamdar (A.S) Saath Hai;
Sadyon Se Ek Pal Bhi Ye Panja Na Jhuk Saka,
Abbas (A.S) Teray Haath Pe Zehra (S.A) Ka Haath Hai.”
“Parcham-E-Hazrat-E-Abbas (A.S) Uthaye Rakhna,
Shor-E-Matam Se Zamanay Ko Jagaye Rakhna;
Ghum-E-Shabeer (A.S) Ibadat Hai Koi Rasm Nahin,
Apni Naslon Ko Azadar Banaye Rakhna.”
“Ye Matam Ki Sada Zinda Rakhay Gi;
Humain Karb-O-Bala Zinda Rakhay Gi.
Mein Duniya Se Chala Jaun Ga Ek Din,
Magar Sheh (A.S) Ki Aza Zinda Rakhay Gi.”
“Hai Dafn Tairi Khaak Main Dilband E Buturab (A.S),
Ay Arz E Karbala, Ye Muqaddar Ke Baat Hai.”
Jin Ki Dil Ki Wadion Mein Karbala Ta’meer Hai,
Un Ki Khushyon Ki Zamanat Parcham-E-Shabbir (A.S) Hai;
Isko Kehtay Hen Imamat, Aisay Hotay Hen Imam,
Haath Mein Saari Khudai, Paaon Mein Zanjeer Hai.”
“Ghum E Hussain (A.S) Mein Maghmoom Ye Jahan Sara,
Kahin Pe Jin, Kahin Iñsañ, Kahin Parinda Hai;
Dhamakay Majlis E Shabbir (A.S) Mein Jo Kartey Hain,
Unhain Ye Khauf Hai Ab Bhi Hussain (A.S) Zinda Hai!!!”
"Jagay Huay Is Kufr Ke Fitnay Ko Sula Do,
Jo Samnay Aaye, Usay Thokar Se Urhaa Do,
Islam Ki Soyi Hui Taqdeer Jaga Do,
Tum Kaun Ho, Kia Ho, Ye Zamanay Ko Bata Do;
Tum Naara-E-Takbeer Ho, Hal-Minn Ki Sada Ho,
Tum Fatima Zehra (S.A) Ke Dukhay Dil Ki Dua Ho,
Tum Hazrat E Abbas (A.S) Ke Parcham Ki Baqa Ho,
Ho Jaao Mukhalif, Jo Mukhalif Ye Hawa Ho.
Hasrat Se Tumhen Dekhtay Hain Shah-E-Mashraqain (A.S),
Sab Mil K Kaho Dosto:
Labbaik Ya Hussain (A.S),
Labbaik Ya Hussain (A.S).”
"Rona Hussain (A.S) Ka Hai, Aqeedat Hussain (A.S) Say,
Maatam Ka Silsila Hai Muwaddat Hussain (A.S) Say;
Seenon Pay Haath Maar Kay Kartay Hain Yeh A'ilaan:
Nafrat Yazeed Say Hai; Mohabbat Hussain (A.S) Say."
Jisay Aal-E-Ahmed (S.A.W.W.A) Say Ulfat Na Hogi,
Kabhi Urooj Pay Uski Qismat Na Hogi;
Bina Hubb-E-Haidar (A.S) Karo Ge Jo Sajday,
Yeh A'adat Tau Hogi, Ibaadat Na Hogi."
"Logon, Ye Sada Aati Hai Sarwar (A.S) Ki Lehd Say:
Koi Tau Meray Zakhm Pay Marham Bhi Laga Day;
Ya Qabr Pe Zehra (S.A) Ki Bana Day Koi Saya,
Ya Saya-E-Gunbad Meray Rozay Say Hata Day."
"Hum Loag Agar Haq Kay Paristaar Na Hotay,
Ye Khoon Kay Pursay Sar-E-Bazaar Na Hotay;
Rugg-Rugg Mein Namak Fatima Zehra (S.A) Ka Rawaan Hai,
Phir Kesay Humaray Bachchay Aza-Daar Na Hotay?!"
"Gham-E-Hussain (A.S) Ki Chaadar Jo Taan Laita Hai,
Usay Khuda Bhi Khud Apni Amaan Daita Hai;
Tu Aik Zindagi Kar Dey Ba-Naam-E-Ibn-E-Ali (A.S),
Hussain (A.S) Badlay Men Dono Jahaan Daita Hai."
"Jo Shakhs Mehfil-E-Haider (A.S) Mein Ja Nahin Sakta,
Ali (A.S) Kay Naam Ka Na'ara Laga Nahin Sakta;
Ali (A.S) Kay Betay Ijazat Agar Nahin Dain Tau,
Kisi Ka Baap Bhi Jannat Mein Ja Nahin Sakta...!"
"Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja Rahay Hain Log?
Jannat Tau Karbala Mein Khareedi Hussain (A.S) Nay;
Dunia-O-Aakhrat Mein Jo Rehna Ho Chain Say,
Jeena Ali (A.S) Say Seekh Lo, Marna Hussain (A.S) Say."
"Islam Ko Karbal Ka Azadar Pasand Hai,
Mazloom Ki Ulfat Ka Yeh Kirdar Pasand Hai;
Har Shehr Kay Har Morh Pay Matam Ki Sadayen,
Zainab (S.A) Ko Mawaddat Ka Yeh Iz'har Pasand Hai;
Shabbeer (A.S) Ka Gham Dil Say Manata Hai Jo Momin,
Sajjad (A.S) Ko Baba Ka Wo Gham-Khwar Pasand Hai;
Iss Daur-E-Sitamgar Mein Rahay Haq Pay Jo Qayem,
Mehdi (A.J.F) Ko Wo Deen Ka Taraf-Daar Pasand Hai."